Wazirabad aur Masjid Wazir Khan ka naam kisi Pakistani ke liye ajnabi nahi. Lekin is shehar aur Masjid ko basanay aur bananay walay Nawab Wazir Khan ke halaat se shayad bohat kam log aagah hon ge.
Nawab Wazir Khan ka asal naam Aleem Aldeen Ansari tha. woh Punjab ke aik mamooli se gaon mein jo Wazirabad ke qareeb hi waqaiye tha. Aik mamooli darja ke hakeem thay. Is gaon mein aur bhi hakeem mojood thay jin ki hikmat hakeem sahib ke muqablay mein khoob chalti thi. Is liye woh khoob khush-haal thay.
Hakeem Aleem Aldeen be hadd mut-taqi, Qanaat pasand, Allah tawakkal walay sabir-o-Shakir aadmi they. Jo kabhi apni musarrat aur tang dasti aur apni naqadri par jaltay nahi they. Balkay usay maula ki marzi samajte hue har dam Allah ke shukar guzaar banay rehtay they. Hakeem sahib ki biwi is sorat-e-haal par hamesha shaaki rehtin. Un se larte jagartin aur aksar un ki kitaaben utha kar ghar se bahar pheink detin ke kya faida tumhari is hikmat ka jo ghar ka chulha bhi nah jala sakay. Naik dil Hakeem sahib jawaban biwi se uljhnay ke inhen sabar-o-shukar ki Talqeen karte. Achay dinon ki umeed dilatey jo aakar hi na day reh they.
Aik martaba hakeem sahib ke ghar kayi dinon taK chulha nah jala, un ke khandan par faqay guzarnay lagey aur un ki biwi ke taanay daraaz hotay gaye to Hakeem sahib shadeed aa-zurda-ghi ki haalat mein gaon ki masjid mein ja kar baith gaye. wahan unhon ny Namaz-e-Isha ada ki aur ghar janay ke bajaye wahein ruk gaye. Namaz-e-tahajat ke waqt unhon ny uth kar wazu kya. Namaz ada ki aur Allah ke huzoor sajda raiz ho kar ronay gur gir-gi-ranay lagey ke ” Bari Ellahi! meri aisi naqadri kyun ho rahee hai? Mein aisi qader na-ashni ka shikaar kyun hon …?
Namaz-e-Fajar tak Hakeem sahib isi terhan Allah ke huzoor rotay gir-gi-raye aur is se is ke fazal-o-karam ki bheek mangte rahay. Phir jab unhon ne sajda se sir uthaya to sajday ki jagah un ke aansuwoon se bhiig chuki thi. Un ka dil be had mutmaen aur aik terhan ka Rohani sukoon mehsoos kar raha tha. Is douran mein dosray namazi bhi masjid mein aana shuru ho chukay thay. Hakeem sahib ne un ke sath Namaz-e Fajar ada ki aur ghar aagaye.
Unhon ny socha thori der soo lun phir ja kar apna matab kholon ga. Lekin is waqt ghar ke darwazay par dastak hui. unhon ny jaa kar darwaaza khola to bahar aik sipahi ko kharray paaya. Is ny un se kaha ke un ka lash-kar ka salaar shadeed pait dard mein mubtala hai woh chal kar usay dekh len. Hakeem sahib samajh gaye ke Salaar dar-haqeeqat dard qolanj mein mubtala tha. Unhon ny zaruri dwayyan sath len aur sipahi ke hamrah lash-kar gaah poanch gaye. Salaar apne khaimay mein bistar par para buri terhan se dard se tarap raha tha. Hakeem sahib ny usay apni dawa istemaal karwai. Thori der mein is ki haalat sambhalna shuru hogayi. Yahan taq ke is ka dard jata raha aur woh bistar par uth kar baith gaya
Is ne hakeem sahib ka shukriya ada karne aur un ki hikmat ko sarhane ke sath inhen gems ki aik theli bhi di. Hakeem sahib Allah ki is meharbani par mamnon-o-mashkoor masroor-o-Shadan apne ghar wapas aaa gaye. Unhon ne apne ahl-e-khana ko tamam qissa sunaya aur inhen gems ki theli dikhayi. Aur kaha ke inhen apna gaon chore kar kisi barray shehar chalay jana chahiye. Wahan woh apna matab khol len ge. Mumkin hai wahan un ki hikmat khoob chal nikal le. Un ki biwi ne un ki is tajweez ko pasand kya .
Chunancha yeh tey howwa ke chand dino baad woh rakhat safar bandh kar kisi barray shehar rawana ho jaien. Lekin isi shaam lash-kar ke salaar ki taraf se aik sipahi is ka pegham le kar poanch gaya ke hakeem sahib foran apna rakhat safar bandh len aur apne khandan ke sath lash-kar ke hamrah dar-al-hakoomat Agra chalne ke liye tayyar ho jaien. Hakeem sahib aur un ke ahl-e-khana foran hi tayyar ho kar lashkar se ja miley. Aur is ke hamrah Agra rawana hogaye. Rastay bhar hakeem sahib salaar ki di hui gems se Agra mein apna matab qaim karne ke terhan terhan ke mansoobay sochte rahay. Unhon ney faisla kya ke Agra ja kar woh jis makaan mein rahaish ikhtiyar karen ge isi ke aik hissay mein apni dukaan hikmat khol len ge. Un ki yeh dukaan rafta rafta taraqqi karti jaye gi .
Lekin ab Rehmat khuda wandi poori terhan josh mein aa chuki thi. Hakeem sahib ki Allah ki huzoor sajda raizi aur giryaa-o-zaari ne arsh Ellahi ko hila diya tha! jounhi yeh lash-kar Agra pouncha, inhen ittila mili ke Noor Jahan badshah begum shadeed arq Al-nisa mein mubtala kayi dinon se hilnay julne chalne phirnay se mazoor bistar par pari hain. Shahi atba aur deegar hukma ki duwaein aur tada-beerye koi kaam nahi kar rahen. Yeh ittila paate hi nowarid lash-kar ka salaar shenshah Jahangir ki khidmat mein haazir howa. Is ne usay Hakeem Aleem Aldeen Ansari ke barey mein bataya. Un ke hathon apni Shifa yabi ka waqea sunaya aur un ki hikmat ki tareef karte hue un se badshah begum ke ilaaj ke sifarish ki. Jahangir pehlay hi apni mehboob malika ki alalat par be had pareshan aur har qisam ke ilaaj ke liye tayyar tha. Foran raazi ho gaya aur hakeem sahib ko bulawa kar inhen malika ke ilaaj ka hukum diya.
Hakeem sahib ne malika ki fasad Khulwai, fasid khoon nikala. Zurori adwiyaat waghera den, ghiza aur parhaiz bataya. Allah ki qudrat se chand dinon ke andar andar badshah begum mukammal sahet yab ho kar bistar se uth kar chalne phirnay lagen. Jahangir neh Hakeem sahib ko nah sirf bhaari inamaat aur karamaat se nawaza balkay wazeer Khan ke laqab se Sarfraz karte hue inhen Shahi tabeb ka ohda bhi ataa kya. Phir inhen Panj Hazari Mansab, aik shandaar mehal, nokar chaakar, hathi, ghoray bhi ataa kiye. yun hakeem sahib ke haan doulat ki rail pail hogayi
Lekin is kayaa palat ke bawajood hakeem sahib ke ijaz o inkisar, shukar guzari, taqwa aur deendari mein koi farq nah aaya. unhon naay apna daman hamesha amirana zindagi ki aaaludigiyon se bacha kar rakha aur apne aap ko neki aur bhalai ke kamon ke liye waqf kar diya. Unhon naay be shumaar masajid, madrasay, Saarein, Sarkain aur pull taamer kurwaye. bewaon aur yatemoon ke vazayf muqarrar kiye. Neki ke har kaam ke liye un ke haath hamesha khulay rahay...
yeh hai aik sachey sjday ki kahani …
0 comments: