Kon nahi chahta is ka dil
sahet mand ho? Aisa har koi chahta hai aur is ke liye sahet mand aur mutawazan
ghiza laazmi hai. Kaha jata hai ke sahet mand dil ka haamil shakhs sahet mand
zindagi guzarta hai. Hum sab jantay hain muthi bhar badam hamaray dil ko sahet mand rakhnay
ke liye kaafi hai. Lekin badam ke ilawa kuch beej aisay bhi hain jo aasani ke
sath muyassar hotay hain aur dil ke liye mufeed hain. Hum aap ko batatay hain woh beej kon se hain
Alsi ke Beej
Sehat mand dil ke liye aap ko rozana aik se do chaey ke
chamach alsi ke beej khanay chahiye. Un beejon mein barri miqdaar mein anti-oxidant
aur omega 3 fatty acids hotay hain jo nah sirf blood pressure aur dabao ki
kefiyat ko behtar karte hain balkay jism mein cholesterol ko bhi kam karta hai.
Tukh Malanga
Garmiyon mein pani ya mashroob mein thora sa rukh malanga dalna
app ko De-Hydration se bachata hai aur dil ki sahet barqarar rakhta hai.
Loki ke Beej
Loki ke beej magnesium and potassium mein malaa maal aur un
mein cholesterol kam hota hai jo dil ko sahet mand rakhnay mein madad deta hai .
Maithi dana
Blood cholesterol aur amraaz qalb ke khatraat ko kam karne ke
liye aap ko apni ghiza mein maithi dana zaroor shaamil karna chahiye .
0 comments: