Bollwood adakara Vidiya
Balan ke baad Kalki bhi Hindu intahaa pasandon aur Bharti hukoomat ki janib se
bollywood ko siyasat mein ghaseetnay par seekh pa ho gayin.
Bollywood mein Pakistani fankaron ke kaam karne par pabandi ayed hai yahi wajah hai ke Fawad Khan ko kayi project se haath dhoney parre hain jab ke film nagri ke kayi hadayat-kar aur adakar bhi Pakistani fankaron par pabandi ki sakht mukhalfat kar chukay hain jis mein Mahish Bhatt aur Vidiya Balan sameit kayi shaamil hain, lekin ab aik aur adakara bhi bollywood ko qaumi siyasat mein dhakelnay par phatt pari hain
film '' Zindagi na Miley Gi Gobarah'' ki adakara Kalki ney kaha ke bollywood ko donon mumalik ki kasheedgi mein zabardasti gasita jata hai, film nagri koi NGO nahi jo maluk ke har siyasi maslay mein uth khari hogi, balkay aik business ki kamaai ka zareya hai jisay siyasat se door rakhna chahiye.

Baharti adakara ne kaha ke Pakistan mein bollywood films ko be had pasand kiya jata hai, isi liye log mujhe bhi film '' Yeh Jawani Hai Dewaani'' ki wajah se jantay hain jab ke Pakistan aur Baharat ko qareeb laane mein bollywood aur cricket ahem kirdaar ada kar saktay hain.
0 comments: