29 November 2003 ki khush gawaar subah thi. Qareeban 9 bajay subah mein apni bachi Samita ko goad mein liye Kanpur se Lucknow jaane wali bas mein baith gayi. Thori dair baad bus chal pari aur musafiron ne apna apna ticket banwana shuru kiya. Mein ne bhi ticket banwane ke liye apna purse khoola to mere hosh urr gaye. Jo rupay mein ne rakhay they woh is mein nahi they. Hath paon phoolnay lagey sansien taiz taiz chalne lagen, Baar baar purse ulalti palatti rahi baa-mushkil tamam kul 32 rupay niklay jab kay kiraya 38 rupay tha. Ab conductor shore machane laga ke kis ne ticket nahi banwaya hai. Mein darii sehmi uthi aur conductor ko 32 rupay thama kar apni set par baith gayi aur khirki se bahar dekhnay lagi conductor taiz taiz cheekhnay laga ke poooray pesey lao. Mein bilkul khamosh thi kuch bola nahi ja raha tha. Tarhan tarhan ke khayalat dil-o-dimagh par chaaye hue they. Bus Ganga Nadi par se guzar rahi thi ke conductor ne phir kaha ke poooray pesey lao warna bus se utar jao aur is ne bus rukwa di. Mujhe utrney ke liye baar baar keh raha tha. Puri bus mein sanata chaaya howa tha. Saaray musafir murr murr kar meri taraf dekh rahay they aur mein maaray sharam ke sardi mein bhi paseenay paseenay ho rahi thi. Itnay mein aik sahib jo kaali shirwani Zaib tan kiye hue driver ke peechay wali set par baithy akhbar parh rahay the ne conductor se pochaa kya baat hai? Is ne jawab diya:
Arrey yeh madam puray pesey nahi day rahi hain aur utar bhi nahi rahi hain. unhon ne ek nazar se meri taraf dekha aur phir conductor se poocha: kitney rupay kam hain? Is ne bataya 6 rupay kam hain. Un sahib ne 10 rupay ka note dete hue kaha ke is mein se le lo aur phir bus chal pari. Bus taiz raftari se darakhton, makanon aur dukanon ko peechay chorte bhagee ja rahi thi aur mein qadray itminan se mukhtalif ehsasat-o-khayalat mein khoyi hui thi. Lucknow agaya aur mein jhat se bus se utar kar kinare khari ho gayi, socha ke un bhallay aadmi ka shukriya ada kar lon. Jab woh sahib utre to mein ne agay barh kar un ka shukriya ada kiya aur apni aankhon ke aanso-on ko sanbhalne ki koshish ki. Woh sahib bolay : '' arrey! koi baat nahi hai aur jaane lagey phir achanak murr kar poocha kya baat hui thi? un ka yeh sawal ghaliban is liye tha ke mein dekhnay mein khushaal lag rahi thi. Behtareen libaas aur zavrat pehan rakhay they. Mein ne bataya ke bhai sahib! ghar se niklee to khayaal tha ke purse mein rupay hain magar maloom nahi kiya howa. Unhon kaha ke aisa ho jata hai. Aap ko jana kahan hai? mein ne bataya ke Hussain ganj mein rehti hon, paidal chali jaoon gi. Unhon ne kaha ke bachi goad mein hai, bag bhi wazni maloom hota hai (jo waqai wazni tha) aap yeh rupay le lijiye aur raksha se chali jaye aur 20 rupay ka note meri taraf barhaya. Mein ne pehlay mazrat ki magar unhon ne zabardasti woh note mujhe diya aur chalay gaye .
Un ke jaane ke baad mein ne raksha liya aur apne ghar ponch gayi lekin dil mein aik aisa naqsh baith chuka tha ke ab kabhi mit nahi sakta tha. Shaam ko apne shohar amit kumar ko puri daastaan sunai. Woh bhi bohat mutasir hue aur kehnay lagey ke un ka naam, pata aur phone number waghera le liya hota. Mujhe bhi bara afsos howa ke yaqeenan naam, pata maloom kar lena chahiye tha magar sahi baat yeh hai ke is waqt meri aqal gum thi. Ab din raat baar baar yahi baat sochti aur dil chahta ke kash aisay bhallay ensaan se phir mulaqaat ho. Kayi din guzar gaye, mein aur mere shohar aksar tazkara karte, un ko yaad karte, raah chaltay nazrain inhen talaash kartin. Bohat se aisay afraad jab shirwani' topi aur daarhi mein dikhayi dete to Amit kehte: un mein se pehchano, magar ab woh kahan mlitay ?
Qareeban 3 mah baad aik roz hum dono marketing karte hue kacheri road Ameen-abad se guzar rahay they ke achanak meri nazar aik sahib par pari jo kurta pajamay mein they, dekhte hi dil ne kaha ke yeh to wohi sahib hain. Jab taq mein faisla karti aur amit ko batati' woh hum logon ke qareeb se guzar kar agay nikal gaye. Mein ne amit se kaha ke shayad wohi sahib hain, zara pucho. Amit lapke aur un ko roka. Mein bhi qareeb pohanchi to yaqeen ho gaya ke yeh wohi sahib hain, jin ko hum talaash karna chahtay they. Hum ne un ko namaste kaha. Woh herat se hum logon ko dekh rahay they. Wein ne kaha: aap ne mujhe pehchana? unhon ne kaha: maaf kiijiye ga, mein to nahi pehchan saka. Mujhe andar se takleef si mehsoos hui ke jis shakhs ki shakal-o-surat guzashta 3, 4 mah se dil-o-dimagh mein basi hui thi, woh mujhe pehchan nahi raha. Amit ne kaha: sochye aur pechaniye. Unhon ne kaha ke nahi, bilkul yaad nahi hai. Baray-e-karam kuch bataiye. Mein ne kaha ke 3, 4 mah pehlay kanpur se atay hue bas mein mulaqaat hui thi aur aap ne meri madad ki thi. Ab woh hansnay lagey aur bolay: aayiyae, chaye peetay hain aur yeh keh kar qareeb ke aik hotel mein baith gaye. Hum log un se milnay ke liye be qarar they, is liye foran un ki pesh-kash qubool kar li. Ab sab se pehlay to hum logon ne un ka shukriya ada kya. Apni majaboori bayan ki aur apni kefiyat bayan karte rahay. Woh baar baar yahi kehte ke bhai! chhorhie' un sab baton ko. Koi aisi baat to thi nahi ke aap log is qader yaad karte rahay. Amit ne diary nikaali aur kaha: janab apna ism graami aur phone number waghera likha degiye. Unhon ne naam, phone aur pata likhaya aur amit ka pata-o-number waghera aik kaghaz par likh liya. Maloom howa ke yeh janab saraye Meer Azam garh ke rehne walay hain. Amit ne mere kehnay par guzarish ki ke chaye ke pesey hamein dainay degiye. Woh kisi terhan amaada nahi ho rahay they. Mein ne kaha: dr sahib! mujhe barri khusi ho gi ke chaye ke pesey mein dun, woh khamosh ho gaye. aur amit ne pesey day diye. Ab mein ne aahista se kaha ke dr sahib! Aik baat kahoon, aap kuch mehsoos nah kiijiye ga' yeh 24 rupay barah karam rakh lijiye. woh qadray buland aawaz mein bolay : bhai! yeh kya baat kar rahay hain! Agar yeh pehli aur aakhri mulaqaat hai to koi baat nahi hai, warna aisi baatein na kiijiye magar amit ne zabardasti 24 rupay un ki jaib mein un ke mana karne ke bawajood rakh diye .
Ab mein ne kaha: doctor sahib! kabhi mere ghar tashreef layiyae. Unhon ne kaha : Har-giz nahi, mein kabhi nahi aon ga. Do baatein aap logon ne zabardasti Manwa len. Meri shart hai ke pehlay aap log mere ghar aayiyae. Thori takraar ke baad hum logon ne wada kar liya ke jald hi hum zaroor ayen ge aur phir hum rukhsat ho gaye .
Aglay hi itwaar ko amit ne kaha: chalo dr sahib ke ghar chalein, phone kya, unhon ne kaha: tashreef layiyae, mein intzaar karoon ga. Hasab wada shaam ko hum chalay. Yaqeen kiijiye, zindagi mein pehli baar aisa mehsoos ho raha tha ke mera koi bhai hai aur mein apne bhai ke ghar ja rahi hon. Mera koi haqeeqi bhai ya behan nahi hai, maa baap ka bhi kaafi pehlay intaqaal ho chuka tha. Ab jo Aziz bhi hain, woh susrali rishte daar hain. Hum puhanche to doctor sahib apne office ke bahar intzaar kar rahay they. Barri mohabbat se miley aur foran ghar mein le gaye. Bithaya aur kitchen mein apni ahliya Umm-e-Salma Aazmi se mulaqaat karwai, jo meri hi Umar ki hain ya saal do saal choti hon gi. Un se mil kar mujhe barri khushi hui. Barri hans mukh, milan saar aur saleeqa mand hain. Ziyafat ka acha khasa ihtimaam kya tha. Chaye ke douran mann hi mann ne kaha : doctor sahib! agar aap ijazat den aur koi harj nai ho to rootti mein pakka dun' is liye ke bacha ro raha hai aur babhi pareshan hain. Unhon ne kaha : babhi se pooch lo. Aap apne hi ghar mein hain, un ki is baat se mujhe hadd darja khushi hui. Mein ne bohat kaha ke khana pakanay mein madad karoon magar babhi ne kaha: ab nahi, jab dobarah aayiyae ga to khana pakiye ga. Is douran mein, mein to babhi se baatein karti rahi aur doctor sahib Amit ko bohat si kitaaben dikhata rahay. Amit kitabon ke deewany hain. Qareeban 2 se 3 ghantay baad jab hum chalne ko tayyar hue to amit ne 10 kitaaben le li the. Chaltay hue babhi ne aik packet diya aur kaha: usay ghar ja kar kholiye ga. Hum log ghar ponche, 10 baj chuke they, packet khoola to herat aur khushi ki intahaa na rahi' aik saari' blouse aur meri beti samita ke liye aik foorak aur aik kilo mithai ka diba tha.
Ab kya tha. amit aeye din doctor sahib se mlitay rahay. Kitaaben laatay rahay, raat raat bhar parhte aur wapis pohanchate rahay. Mein bhi kitaaben parhtien thi ''shanti marg, mukti marg, jeevan marityo ke pash-chahat, islam dharam, islam jis se mujhe pyar hai, 40 Hadees, Quran ka tarjuma'' sab kuch parh dala. Chaar paanch baar mein doctor sahib ke ghar gayi. Jab bhi jati aur wapis aati to babhi kuch na kuch kapray, khilonay, khanay peenay ki cheezein ya koi aur cheez zaroor detin. Do, teen baar woh bhi hamaray paas hamaray ghar ayen. Hum log aik dosray ke kaafi qareeb ho chuke they. Amit aksar doctor sahib se mlitay rehtay aur woh bhi phone kar ke un ko bulaa letay magar aik saal se ziyada arsa guzar gaya, baar baar kehnay ke bawajood doctor sahib hamaray ghar nahi aeye. Har baar koi majaboori bayan karte aur phir anay ka wada karte. Aik baar hum log un ke ghar gaye to maloom howa ke tabiyat kuch kharab hai. Badan san-sana raha hai aur babhi apni narazgi zahir kar rahi hain. Maloom howa ke aaj hi kisi ajnabi mareez ko khoon day kar aeye hain, jab ke 2 mah pehlay kisi mariza ko khoon diya tha. Babhi naraaz ho rahi theen aur woh keh rahay the ke agar khoon day kar kisi ki jaan bach sakti hai to kya harj hai? mein ne babhi ki himayat ki.
Amit jab bhi un se mil kar atay, aksar koi na koi waqiya batatay aur herat-o-khushi se baarha tazkara karte, maslan aaj doctor sahib se mulaqaat hui thi. Aik list liye baithy the ke dekho: aatta, daal, chawal aur yeh samaan lana hai. Mein ponch gaya to baithy rahay, baatein hoti rahen, is douran Nadwah ka aik taalib ilm aaya. Kuch der baad is ne apni zaroorat bayan ki, doctor sahib ne 400 rupay is ko de diye aur samaan lana reh gaya .
Aik baar kehnay lagey: aaj doctor sahib se mulaqaat hui thi, sath mein Ameenabad gaye the. aik kambal 350 rupay mein khareeda aur wapas aaa rahay they ke rastay mein aik naqaab posh khatoon mili aur kaha ke molvi sahib! bachay sardi kha rehe hain, aik kambal ya lehaaf dila de giye. Itna kehna tha ke doctor sahib ne woh kambal is ko thama diya aur khaali haath ghar chalay gaye.
Is arsa mein amit mein ghair mamooli tabdeeli aa chuki thi. Pooja karna aur mandir jana bilkul chore diya tha, jab ke pehlay is ki pabandi karte they. Ghar se tamam taswerain aur mortiyon ko hata diya aur hum log ajeeb si tabdeelian mehsoos karne lagey. Is douran mein doctor sahib se baar baar ghar anay ko kehte magar woh taall jatay. Aik raat qareeban 11 bajay amit ne dekha ke doctor sahib aik haath mein aattay ka thela aur dosray haath mein chawal, daal aur kuch dosra samaan latkaye hamari gali ke qareeb wali doosri gali ki taraf muray hain. Amit peechay lapke aur qareeb ja kar poocha: aap is waqt yahan? yeh kya hai? pehlay to unhon ne talna chaha magar phir bataya ke yahan aik boorhi khatoon rehti hain, un ka koi sahara nahi, mein kabhi kabhar yeh samaan pouncha deta hon. Phir amit ko sath le kar gaye. Samaan diya, kuch rupay diye aur wapas lautay. Ab amit ne israar kya ke ghar chliye, unhon ne kaha kaafi raat ho gayi hai phir ayen ge magar amit zabardasti ghar le aeye. Apne ghar mein inhen dekh kar mujhe bohat khushi hui. Mein jaldi se khanay peenay ka intizam karne lagi. Unhon ne kaha ke hum to khana kha chuke hain, chaye bana lo bas, Khana phir kabhi khayen ge bahar haal jo kuch tha paish kya. Baatein honay lagen aur bil akhir amit bolay: ab bohat din ho gaye, hum log kab tak isi terhan rahen ge? Doctor sahib ne kaha: jaldi kya hai? hum ne kaha: agar isi darmain mout aa gayi to? ab doctor sahib bilkul khamosh they. Qareeban aik bajay amit un ko un ke ghar pohanchanay gaye. Jab wapas aeye to hum log raat bhar so na sakay aur imaan, islam, jannat, dozakh aur doctor sahib aur is boorhi khatoon ki baatein karte rahay. Isi terhan 3, 4 mah guzar gaye, namaz ki kitaab se aur babhi se namaz parhna seekh li aur hum log pabandi se namaz parhnay lagey. Isi douran mein amit ka transfer ho gaya aur hum log Lucknow se Ghazi-abad aa gaye .
Yahan se hum logon ne nai zindagi ka aaghaz kya. Mein Archana se Momina Tabassum' Amit Abdul-Kareem aur Samita Uzma ho chuki hain. Zindagi ka safar jari hai. Doctor sahib do saal se eid ke mauqa par sab logon ke liye kapray aur eidi bhaij rahay hain. Un ke hum zulff Mohammad Younis bhai tohfay le kar atay hain. 2 baar mein bhi Lucknow ja chuki hon. Un ka ghar mujhe apna maika lagta hai aur isi andaaz se hum jatay aur atay hain. Allah Taala se dua karti hon ke yeh rishta barqarar rahay aur hum sab log akhirat mein kamyaab hon.... (Ameen)
0 comments: